Yun to main Akela hi achha hun
Par mujhe aur Tanha to na karo
Nahi sataunga kisiko kabhi ghamon se apne
Par dard se mere yun Anjaan to na bano
Nahi maangi Khushiyan maine kisise, na hi Rab se apne
Jawab apne Sawalon ke maang saku, itna Haq to dedo
Suraj to nahi main, ki khud jal sabko jalaun
Naa hi hun Chand jo Sheetal ho jaun
Lehrein bhi takraa jaaye agar Chattano se
To Patthar bhi tut jaate hai
Ye na bhulo aakhir main to ek Insaan hun
Dil hai jisme aur kuch Jazbaat bhi hai.
Imtihaan lekar mera is tarah, mujhe Kathor itna to na kardo
Tute Shishe ki tarah bikhar jaun aise ki, kabhi phir jud na paun.